ai falak ye kya hua apna yagana phir gaya
ai falak ye kya hua apna yagana phir gaya
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
ai falak ye kyā huā apnā yagāna phir gayā
tū akelā kyā phirā saarā zamāna phir gayā
thī ḳhushī aane kī un ke aate aate rah ga.e
baḳht-e-bargashta bajā kar shādiyāna phir gayā
khāte the angūr piite the sharāb-e-arġhavāñ
haa.e vo saaqī phirā kyā āb-o-dāna phir gayā
vā.e-nākāmī rahe mahrūm vasl-e-yār se
apne ghar aaya bhī aur kar ke bahāna phir gayā
ai muġhannī is tirī āvāz-e-dilkash ke huzūr
gul haiñ sīna-chāk bulbul kā tarāna phir gayā
kūcha-e-gesū meñ jab pahuñchā dil-e-vahshat-zada
rū-ba-rū āñkhoñ ke apnī qaid-ḳhāna phir gayā
kahte haiñ ḳhalḳhāl pā-e-yār ke vaqt-e-ḳhirām
hashr phir hogā bapā gar ik bhī daana phir gayā
uḌ gayā jab tausan-e-jazb apnā un ke hijr meñ
kī na jumbish us ne rū-e-tāziyāna phir gayā
terī nazroñ se girā jab se koī pursāñ nahīñ
tū phirā 'shaidā' se kyā saarā zamāna phir gayā
ai falak ye kya hua apna yagana phir gaya
tu akela kya phira sara zamana phir gaya
thi KHushi aane ki un ke aate aate rah gae
baKHt-e-bargashta baja kar shadiyana phir gaya
khate the angur pite the sharab-e-arghawan
hae wo saqi phira kya aab-o-dana phir gaya
wae-nakaami rahe mahrum wasl-e-yar se
apne ghar aaya bhi aur kar ke bahana phir gaya
ai mughanni is teri aawaz-e-dilkash ke huzur
gul hain sina-chaak bulbul ka tarana phir gaya
kucha-e-gesu mein jab pahuncha dil-e-wahshat-zada
ru-ba-ru aankhon ke apni qaid-KHana phir gaya
kahte hain KHalKHal pa-e-yar ke waqt-e-KHiram
hashr phir hoga bapa gar ek bhi dana phir gaya
uD gaya jab tausan-e-jazb apna un ke hijr mein
ki na jumbish us ne ru-e-taziyana phir gaya
teri nazron se gira jab se koi pursan nahin
tu phira 'shaida' se kya sara zamana phir gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.