ai ham-safaro kyon na yahin shahr basa len
ai ham-safaro kyoñ na yahīñ shahr basā leñ
ham apne usuul apnī hī aqdār banā leñ
vo log jinhoñ ne mire hoñToñ ko siyā hai
sozan se mirī soch kā kāñTā bhī nikāleñ
phir shahr meñ haiñ fasl-e-junūñ aane ke charche
shorīda-saro aao garebān silā leñ
yuuñ zehn pe hai ḳhauf ke sāyoñ kā tasallut
ham aa.ī huī baat ko hoñToñ meñ dabā leñ
ummīd nahīñ bazm se sho.ala koī uTThe
yaaro chalo qindīl se qindīl jalā leñ
ai ham-safaro kyon na yahin shahr basa len
hum apne usul apni hi aqdar bana len
wo log jinhon ne mere honTon ko siya hai
sozan se meri soch ka kanTa bhi nikalen
phir shahr mein hain fasl-e-junun aane ke charche
shorida-saro aao gareban sila len
yun zehn pe hai KHauf ke sayon ka tasallut
hum aai hui baat ko honTon mein daba len
ummid nahin bazm se shoala koi uTThe
yaro chalo qindil se qindil jala len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.