ai ham-safaro kyun na naya shahr basa len
ai ham-safaro kyuuñ na nayā shahr basā leñ
apne hī usuul apnī hī aqdār banā leñ
jin logoñ ne ab tak mire hoñToñ ko siyā hai
sozan se mirī soch kā kāñTā bhī nikāleñ
barfoñ pe alaav nahīñ lagte haiñ to yaaro
bujhtī huī qindīl se qindīl jalā leñ
kahne ko to bāzār kī ham jins-e-girāñ haiñ
lekin hameñ kauḌī pe ḳharīdār uThā leñ
bojh apnā bhī ham se to uThāyā nahīñ jaatā
aur aap musir aap kā bhī bojh uThā leñ
ai ham-safaro kyun na naya shahr basa len
apne hi usul apni hi aqdar bana len
jin logon ne ab tak mere honTon ko siya hai
sozan se meri soch ka kanTa bhi nikalen
barfon pe alaw nahin lagte hain to yaro
bujhti hui qindil se qindil jala len
kahne ko to bazar ki hum jins-e-giran hain
lekin hamein kauDi pe KHaridar uTha len
bojh apna bhi hum se to uThaya nahin jata
aur aap musir aap ka bhi bojh uTha len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.