ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-suKHan ab
ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-suKHan ab
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
ai hazrat-e-īsā nahīñ kuchh jā-e-suḳhan ab
vo aa ga.e rakhvā.iye tah kar ke kafan ab
sīñchā gayā phūlā hai na.e sar se chaman ab
ashkoñ ne kiye sabz mire dāġh-e-kuhan ab
o shauq-e-asīrī khulī gesū kī shikan ab
tarseñge qafas ke liye murġhān-e-chaman ab
ḳhāmoshī ne mā'dūm kiyā aur dahan ab
tum hī kaho baaqī rahī kyā jā-e-suḳhan ab
yārān-e-vatan ko hai ġharīboñ se kināra
ġhurbat kā taqāzā hai karo tark-e-vatan ab
derīna sitam-kash huuñ zamāne meñ azal se
kyā jaur nikālegā na.e charḳh-e-kuhan ab
sun lījiye kuchh qissa-e-betābī-e-dil ko
jo jī meñ ho kah lījiye phir mushfiq-e-man ab
sīmāb banāyā tap-e-hijrāñ ne jigar ko
dil Thahrne detī nahīñ siine kī jalan ab
ban ban ke sañvarte haiñ bigaḌ jaate haiñ ban kar
niklā hai na.ī sāḳht kā be-sāḳhta-pan ab
chalte sar-e-bāzār ho ġhairoñ ko parakhte
baTTā na lagā.e kahīñ ye chāl-chalan ab
zanjīr mirī toḌ dī ai joshish-e-vahshat
phir sar pe chaḌhā chāhtā hai najd kā ban ab
āḳhir koī had bhī tirī ai dūri-e-ġhurbat
māyūs hue jaate haiñ yārān-e-vatan ab
phir siine meñ paikāñ na samāyā ho kisī kā
kyā baat hai khulte nahīñ zaḳhmoñ ke dahan ab
kyā misr ke yūsuf ke kueñ jhāñk liye haiñ
dikhlā do zuleḳhā ko zarā chāh-e-zakan ab
hangāma-e-mahshar meñ ḳhamoshī hai kahāñ kī
sunñe kā nahīñ koī yahāñ uzr-e-dahan ab
kyā ruḳh pe bahār aa.ī na.e sabza-e-ḳhat se
tab ġhairat-e-gul the to hue rashk-e-chaman ab
muddat se gayā qais-e-sitam-kash kā zamāna
paidā to kare mujh sā koī charḳh-e-kuhan ab
pahuñchā na kabhī kaan talak nāla-e-majnūñ
chillā.ūñ agar guuñj uThe najd kā ban ab
kyā fikr hai ai 'sho.ala' piyo bāda-e-rangīñ
Daalo bhī kahīñ bhaaḌ meñ ye ranj-o-mehan ab
ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-suKHan ab
wo aa gae rakhwaiye tah kar ke kafan ab
sincha gaya phula hai nae sar se chaman ab
ashkon ne kiye sabz mere dagh-e-kuhan ab
o shauq-e-asiri khuli gesu ki shikan ab
tarsenge qafas ke liye murghan-e-chaman ab
KHamoshi ne ma'dum kiya aur dahan ab
tum hi kaho baqi rahi kya ja-e-suKHan ab
yaran-e-watan ko hai gharibon se kinara
ghurbat ka taqaza hai karo tark-e-watan ab
derina sitam-kash hun zamane mein azal se
kya jaur nikalega nae charKH-e-kuhan ab
sun lijiye kuchh qissa-e-betabi-e-dil ko
jo ji mein ho kah lijiye phir mushfiq-e-man ab
simab banaya tap-e-hijran ne jigar ko
dil Thahrne deti nahin sine ki jalan ab
ban ban ke sanwarte hain bigaD jate hain ban kar
nikla hai nai saKHt ka be-saKHta-pan ab
chalte sar-e-bazar ho ghairon ko parakhte
baTTa na lagae kahin ye chaal-chalan ab
zanjir meri toD di ai joshish-e-wahshat
phir sar pe chaDha chahta hai najd ka ban ab
aaKHir koi had bhi teri ai duri-e-ghurbat
mayus hue jate hain yaran-e-watan ab
phir sine mein paikan na samaya ho kisi ka
kya baat hai khulte nahin zaKHmon ke dahan ab
kya misr ke yusuf ke kuen jhank liye hain
dikhla do zuleKHa ko zara chah-e-zakan ab
hangama-e-mahshar mein KHamoshi hai kahan ki
sunne ka nahin koi yahan uzr-e-dahan ab
kya ruKH pe bahaar aai nae sabza-e-KHat se
tab ghairat-e-gul the to hue rashk-e-chaman ab
muddat se gaya qais-e-sitam-kash ka zamana
paida to kare mujh sa koi charKH-e-kuhan ab
pahuncha na kabhi kan talak nala-e-majnun
chillaun agar gunj uThe najd ka ban ab
kya fikr hai ai 'shoala' piyo baada-e-rangin
Dalo bhi kahin bhaD mein ye ranj-o-mehan ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.