ai ishq ab to main tere qabil nahin raha
ai ishq ab to maiñ tire qābil nahīñ rahā
jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā
ai ḳhizr-e-rāh chal mujhe le chal jahāñ chale
ab mujh ko hosh-e-jāda-e-manzil nahīñ rahā
allah ho ḳhair qais kī barbādiyoñ kī ḳhair
lailā pe aaj parda-e-mahmil nahīñ rahā
teġh-e-jafā uThā are qātil uThā uThā
ab sabr-e-jazb-e-ulfat-e-kāmil nahīñ rahā
qātil tire to vaar ne kar hī diyā ġhazab
bismil taḌap ke chal diyā bismil nahīñ rahā
maiñ kis liye huuñ koshāñ mirī kashtī-e-vafā
tūfān vo uThā hai ki sāhil nahīñ rahā
ai 'prem' ab na pūchh ġham-e-dil kī dāstāñ
ab dāstān-e-ġham na rahī dil nahīñ rahā
ai ishq ab to main tere qabil nahin raha
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahin raha
ai KHizr-e-rah chal mujhe le chal jahan chale
ab mujh ko hosh-e-jada-e-manzil nahin raha
allah ho KHair qais ki barbaadiyon ki KHair
laila pe aaj parda-e-mahmil nahin raha
tegh-e-jafa uTha are qatil uTha uTha
ab sabr-e-jazb-e-ulfat-e-kaamil nahin raha
qatil tere to war ne kar hi diya ghazab
bismil taDap ke chal diya bismil nahin raha
main kis liye hun koshan meri kashti-e-wafa
tufan wo uTha hai ki sahil nahin raha
ai 'prem' ab na puchh gham-e-dil ki dastan
ab dastan-e-gham na rahi dil nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.