Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai ishq-e-fitna-saman kar de tu hashr barpa

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

ai ishq-e-fitna-saman kar de tu hashr barpa

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad

    ai ishq-e-fitna-sāmāñ kar de hashr barpā

    kyā ye nahīñ qayāmat aalam hai terā shaidā

    dair-o-haram se niklo gar diid chāhte ho

    paidā karo basīrat phir dekh lo tamāshā

    ai dard tere qurbāñ kaisā masīh hai

    vo bā.is-e-shifā hai hai dard naam jis

    jis samt dekhtā huuñ jalva tirā ayaañ hai

    merī nazar meñ aalam maz.har hai ek terā

    ism-o-sifāt hai tere zuhūr har-sū

    is yaqīñ hai mujh ko hai zaat terī yaktā

    ranj-e-ḳhumār meñ huuñ ab rahm kar mujh par

    saaqī pilā de mujh ko phir ek jām-e-sahbā

    bas dhyān rakh is bas yaad rakh is

    ai 'shād' duur rakkhe dil se hubb-e-duniyā

    ai ishq-e-fitna-saman kar de tu hashr barpa

    kya ye nahin qayamat aalam hai tera shaida

    dair-o-haram se niklo gar did chahte ho

    paida karo basirat phir dekh lo tamasha

    ai dard tere qurban kaisa masih tu hai

    wo bais-e-shifa hai hai dard nam jis ka

    jis samt dekhta hun jalwa tera ayan hai

    meri nazar mein aalam mazhar hai ek tera

    ism-o-sifat ka hai tere zuhur har-su

    is ka yaqin hai mujh ko hai zat teri yakta

    ranj-e-KHumar mein hun ab rahm kar tu mujh par

    saqi pila de mujh ko phir ek jam-e-sahba

    bas dhyan rakh tu is ka bas yaad rakh tu is ki

    ai 'shad' dur rakkhe dil se tu hubb-e-duniya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now