ai ishq ruKH-e-lala-o-shabnam ki tari de
ai ishq ruḳh-e-lāla-o-shabnam kī tarī de
zaḳhmoñ ko mire lutf-e-gudāz-e-saharī de
nāla-kash-e-hālāt huuñ majbūr-e-fuġhāñ huuñ
taufīq-e-shakebā.ī-e-karb-e-jigarī de
nādīda-e-manzil huuñ añdherī hī nazar meñ
jugnū ko mazāq-e-shaġhaf-e-ham-safarī de
maiñ ab bhī dikhā saktā huuñ parvāz kā aalam
duniyā na mujhe ta.ana-e-be-bāl-o-parī de
tazlīl-e-qanā.at to gavārā nahīñ lekin
vo kyā kare qudrat jise daryūza-garī de
in sūkhe daraḳhtoñ pe guzārā karūñ kab tak
ai mausam-e-gul mujh ko koī shāḳh harī de
dil le ke chalā hai taraf-e-shahr-e-nigārāñ
ab to mire allāh mujhe ḳhush-nazarī de
mahrūm-e-basīrat hai fan-e-sher meñ 'turfa'
is kor-hunar ko sanad-e-dīda-varī de
ai ishq ruKH-e-lala-o-shabnam ki tari de
zaKHmon ko mere lutf-e-gudaz-e-sahari de
nala-kash-e-haalat hun majbur-e-fughan hun
taufiq-e-shakebai-e-karb-e-jigari de
nadida-e-manzil hun andheri hi nazar mein
jugnu ko mazaq-e-shaghaf-e-ham-safari de
main ab bhi dikha sakta hun parwaz ka aalam
duniya na mujhe tana-e-be-baal-o-pari de
tazlil-e-qanaat to gawara nahin lekin
wo kya kare qudrat jise daryuza-gari de
in sukhe daraKHton pe guzara karun kab tak
ai mausam-e-gul mujh ko koi shaKH hari de
dil le ke chala hai taraf-e-shahr-e-nigaran
ab to mere allah mujhe KHush-nazari de
mahrum-e-basirat hai fan-e-sher mein 'turfa'
is kor-hunar ko sanad-e-dida-wari de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.