ai jaan-e-KHema-gah-e-nafas ja raha hun main
ai jān-e-ḳhema-gāh-e-nafas jā rahā huuñ maiñ
aane lagī sadā-e-jaras jā rahā huuñ maiñ
āvāza-e-sukūt mirā tār-tār hai
dhun koī chheḌ sāz-e-havas jā rahā huuñ maiñ
hai kaun tujh meñ dhuum machā.e mire sivā
dasht-e-vajūd ab to jhulas jā rahā huuñ maiñ
parhez karte karte ḳhud apnī hī aag se
tang aa chukā huuñ ḳhāna-e-ḳhas jā rahā huuñ maiñ
sar par hai āsmān to sabza hai shash-jihat
phir kyoñ palaT ke sū-e-qafas jā rahā huuñ maiñ
ḳhushbū kī rā.egānī girāñ-bār ho chukī
arzāñ bahut hai bū-e-nafas jā rahā huuñ maiñ
ai jaan-e-KHema-gah-e-nafas ja raha hun main
aane lagi sada-e-jaras ja raha hun main
aawaza-e-sukut mera tar-tar hai
dhun koi chheD saz-e-hawas ja raha hun main
hai kaun tujh mein dhum machae mere siwa
dasht-e-wajud ab to jhulas ja raha hun main
parhez karte karte KHud apni hi aag se
tang aa chuka hun KHana-e-KHas ja raha hun main
sar par hai aasman to sabza hai shash-jihat
phir kyon palaT ke su-e-qafas ja raha hun main
KHushbu ki raegani giran-bar ho chuki
arzan bahut hai bu-e-nafas ja raha hun main
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 104)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.