ai junun hai gulshan-e-ijad virana mera
ai junun hai gulshan-e-ijad virana mera
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
ai junūñ hai gulshan-e-ījād vīrāna merā
kis kā dīvāna huuñ ik aalam hai dīvāna merā
bā.is-e-ārā.ish-e-getī hai vīrāna merā
til magar rū-e-zamīñ kā hai siyah-ḳhāna merā
huuñ ġhash roz-e-azal se jalva-e-dīdār par
tuur kī taqrīr thī goyā ik afsāna merā
baat chheḌī hai to kahne dījiye afsūn-e-zulf
niiñd uchTī hai to sun liije kuchh afsāna merā
ai nashā-e-hirs-e-rif.at ḳhuub hai chakkar diye
āsmāñ ke saath gardish meñ hai paimāna merā
maiñ vo kisht-e-nā-murādī huuñ zamāne meñ ki hai
barq-e-ḳhirman-soz kā mushtāq har daana merā
hai surūr-e-bāda-e-ulfat bahār-e-be-hushī
be-ḳhudī-e-do-jahāñ hai daur-e-paimāna merā
sab haiñ jiite jī ke duniyā meñ ta'alluq be-ḳhabar
kaun hai terā yagāna kaun begāna merā
hai surūr-e-bāda-e-rangīñ suḳhan-sāzī merī
mauj-e-bahr-e-mai hai 'sho.ala' sher mastāna merā
ai junun hai gulshan-e-ijad virana mera
kis ka diwana hun ek aalam hai diwana mera
bais-e-araish-e-geti hai virana mera
til magar ru-e-zamin ka hai siyah-KHana mera
hun ghash roz-e-azal se jalwa-e-didar par
tur ki taqrir thi goya ek afsana mera
baat chheDi hai to kahne dijiye afsun-e-zulf
nind uchTi hai to sun lije kuchh afsana mera
ai nasha-e-hirs-e-rifat KHub hai chakkar diye
aasman ke sath gardish mein hai paimana mera
main wo kisht-e-na-muradi hun zamane mein ki hai
barq-e-KHirman-soz ka mushtaq har dana mera
hai surur-e-baada-e-ulfat bahaar-e-be-hushi
be-KHudi-e-do-jahan hai daur-e-paimana mera
sab hain jite ji ke duniya mein ta'alluq be-KHabar
kaun hai tera yagana kaun begana mera
hai surur-e-baada-e-rangin suKHan-sazi meri
mauj-e-bahr-e-mai hai 'shoala' sher mastana mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.