ai junun humne kahan sar rakh diya
ai junūñ ham ne kahāñ sar rakh diyā
phir kisī ko but banā kar rakh diyā
'ishq ne mujh ko liTāyā aag par
aur phir siine pe patthar rakh diyā
likh diyā tum ne qafas taqdīr meñ
noch kar maiñ ne bhī shahpar rakh diyā
maiñ ne mai chhoḌī thī jis ke naam par
phir usī ne lā ke sāġhar rakh diyā
mujh ko jis se zindagī kī aas thī
us ne hī gardan pe ḳhanjar rakh diyā
'shauq' us ke ho ga.e ham sab yatīm
dast-e-shafqat jis ne sar par rakh diyā
ai junun hum ne kahan sar rakh diya
phir kisi ko but bana kar rakh diya
'ishq ne mujh ko liTaya aag par
aur phir sine pe patthar rakh diya
likh diya tum ne qafas taqdir mein
noch kar main ne bhi shahpar rakh diya
main ne mai chhoDi thi jis ke nam par
phir usi ne la ke saghar rakh diya
mujh ko jis se zindagi ki aas thi
us ne hi gardan pe KHanjar rakh diya
'shauq' us ke ho gae hum sab yatim
dast-e-shafqat jis ne sar par rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.