Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai junun itna to kar waqt ata kam-az-kam

Navin Joshi

ai junun itna to kar waqt ata kam-az-kam

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    ai junūñ itnā to kar vaqt 'atā kam-az-kam

    kar sakūñ tujh meñ izāfe du'ā kam-az-kam

    apne rahne ke liye kuchh to jagah kar mujh meñ

    gar haTānī nahīñ duniyā to ghaTā kam-az-kam

    koī ilzām to sābit nahīñ kar paayā

    kyā sazā soch ke rakkhī thī batā kam-az-kam

    ġham-gusārī ke farā.ez to samajh le pahle

    tere chehre pe ḳhushī hai vo chhupā kam-az-kam

    terī tasvīr banāne meñ madad kar us

    us musavvir ke liye rang banā kam-az-kam

    maiñ agar khel huuñ to khelne koshish kar

    maiñ tamāsha huuñ to phir dekhne aa kam-az-kam

    terā jaanā ho agar yaad ke maiḳhāne meñ

    to mire naam ik jaam uThā kam-az-kam

    jaane kab se hai mehmān mirī āñkhoñ

    terī āñkhoñ ko mere ḳhvāb dikhā kam-az-kam

    tujh ko laḌnā tire dushman ne sikhāyā thā 'navā'

    us turbat pe kuchh aañsū to bahā kam-az-kam

    ai junun itna to kar waqt 'ata kam-az-kam

    kar sakun tujh mein izafe ki du'a kam-az-kam

    apne rahne ke liye kuchh to jagah kar mujh mein

    gar haTani nahin duniya to ghaTa kam-az-kam

    koi ilzam to sabit nahin kar paya tu

    kya saza soch ke rakkhi thi bata kam-az-kam

    gham-gusari ke faraez to samajh le pahle

    tere chehre pe KHushi hai wo chhupa kam-az-kam

    teri taswir banane mein madad kar us ki

    us musawwir ke liye rang bana kam-az-kam

    main agar khel hun to khelne ki koshish kar

    main tamasha hun to phir dekhne aa kam-az-kam

    tera jaana ho agar yaad ke maiKHane mein

    to mere nam ka ek jam uTha kam-az-kam

    jaane kab se hai tu mehman meri aankhon ka

    teri aankhon ko mere KHwab dikha kam-az-kam

    tujh ko laDna tere dushman ne sikhaya tha 'nawa'

    us ki turbat pe kuchh aansu to baha kam-az-kam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now