ai junun wo gul khila sara chaman dekha kare
ai junūñ vo gul khilā saarā chaman dekhā kare
jab garebāñ chaak ho jaa.e bahār aayā kare
zulf-e-jānāñ jab sañvarne ke liye tarsā kare
abr-e-rahmat ham gunahgāroñ pe kyā saayā kare
aañkh khol ai mahv-e-ḳhud-bīnī kahīñ aisā na ho
ā.īna-ḳhānoñ meñ ā.īnoñ se Takrāyā kare
dekh kar kaalī ghaTā.eñ hosh kho dete haiñ log
apne gesū khol de koī to duniyā kyā kare
ḳhud-faroshī hai ba-alfāz-e-digar shukr-e-karam
aadmī kuchh soch kar to haath phailāyā kare
ab kahāñ sangīnī-e-hālāt se pahle kī baat
koī patthar mere shīshe se na Takrāyā kare
ab to is yaksāniyat se zindagī ghabrā ga.ī
jo hañsā hañstā rahe jo ro diyā royā kare
ai junun wo gul khila sara chaman dekha kare
jab gareban chaak ho jae bahaar aaya kare
zulf-e-jaanan jab sanwarne ke liye tarsa kare
abr-e-rahmat hum gunahgaron pe kya saya kare
aankh khol ai mahw-e-KHud-bini kahin aisa na ho
aaina-KHanon mein aainon se Takraya kare
dekh kar kali ghaTaen hosh kho dete hain log
apne gesu khol de koi to duniya kya kare
KHud-faroshi hai ba-alfaz-e-digar shukr-e-karam
aadmi kuchh soch kar to hath phailaya kare
ab kahan sangini-e-haalat se pahle ki baat
koi patthar mere shishe se na Takraya kare
ab to is yaksaniyat se zindagi ghabra gai
jo hansa hansta rahe jo ro diya roya kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.