ai kash ho barsat zara aur zara aur
ai kaash ho barsāt zarā aur zarā aur
baḌh jaa.e mulāqāt zarā aur zarā aur
hāthoñ meñ tirā haath ye kaafī to nahīñ hai
mil jaa.eñ ḳhayālāt zarā aur zarā aur
khaltī hai ye tanhā.ī to duurī bhī miTā de
tū maan mirī baat zarā aur zarā aur
bujhtī hai kahāñ pyaas ab āñkhoñ se pilā kar
de pyaar kī sauġhāt zarā aur zarā aur
hālāt huuñ hamvār to kyā fikr hai lekin
mushkil meñ munājāt zarā aur zarā aur
jab pyaar se miltā hai to bhartā hai kahāñ dil
ulfat se bharī raat zarā aur zarā aur
ai kash ho barsat zara aur zara aur
baDh jae mulaqat zara aur zara aur
hathon mein tera hath ye kafi to nahin hai
mil jaen KHayalat zara aur zara aur
khalti hai ye tanhai to duri bhi miTa de
tu man meri baat zara aur zara aur
bujhti hai kahan pyas ab aankhon se pila kar
de pyar ki saughat zara aur zara aur
haalat hun hamwar to kya fikr hai lekin
mushkil mein munajat zara aur zara aur
jab pyar se milta hai to bharta hai kahan dil
ulfat se bhari raat zara aur zara aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.