ai kashif-e-asrar bata hai ki nahin hai
Interesting Fact
(4th September, 1961) (Tamir-e-Urdu)
ai kāshif-e-asrār batā hai ki nahīñ hai
kahte haiñ jise log ḳhudā hai ki nahīñ hai
duniyā meñ bhalā.ī kā sila hai ki nahīñ hai
anjām burā.ī kā burā hai ki nahīñ hai
mahsūs to hotā hai dikhā.ī nahīñ detā
is soch meñ Duubā huuñ ḳhudā hai ki nahīñ hai
kyuuñ ham ko Darātā hai koī roz-e-jazā se
ḳhud apnī jagah ziist sazā hai ki nahīñ hai
kyuuñ dast-nigar ḳhud ko samajhtā hai kisī kā
qabze meñ tire dast-e-duā hai ki nahīñ hai
ham se bhī kabhī rabt thā ai bhūlne vaale
zālim tujhe kuchh pās-e-vafā hai ki nahīñ hai
jī bhar ke sazā de magar itnā to batā de
nā-karda-gunāhī kī jazā hai ki nahīñ hai
jo bhī nazar aatā hai yahāñ nazr-e-fanā hai
ai dost fanā ko bhī fanā hai ki nahīñ hai
bātil kī parastish jahāñ hotī hai shab-o-roz
haq baat ke kahne kā mazā hai ki nahīñ hai
duniyā kā tujhe Dar hai bahut ye mujhe taslīm
kuchh dil meñ tire ḳhauf-e-ḳhudā hai ki nahīñ hai
tū mai kī mazammat to kiyā kartā hai vaa.iz
ye shai magar andoh-rubā hai ki nahīñ hai
insāf se leñ kaam jinheñ zauq-e-suḳhan hai
uslūb mirā sab se judā hai ki nahīñ hai
'tālib' to yaqīnan hī tirī saarī ḳhudā.ī
lekin koī rāzī-ba-razā hai ki nahīñ hai
ai kashif-e-asrar bata hai ki nahin hai
kahte hain jise log KHuda hai ki nahin hai
duniya mein bhalai ka sila hai ki nahin hai
anjam burai ka bura hai ki nahin hai
mahsus to hota hai dikhai nahin deta
is soch mein Duba hun KHuda hai ki nahin hai
kyun hum ko Daraata hai koi roz-e-jaza se
KHud apni jagah zist saza hai ki nahin hai
kyun dast-nigar KHud ko samajhta hai kisi ka
qabze mein tere dast-e-dua hai ki nahin hai
hum se bhi kabhi rabt tha ai bhulne wale
zalim tujhe kuchh pas-e-wafa hai ki nahin hai
ji bhar ke saza de magar itna to bata de
na-karda-gunahi ki jaza hai ki nahin hai
jo bhi nazar aata hai yahan nazr-e-fana hai
ai dost fana ko bhi fana hai ki nahin hai
baatil ki parastish jahan hoti hai shab-o-roz
haq baat ke kahne ka maza hai ki nahin hai
duniya ka tujhe Dar hai bahut ye mujhe taslim
kuchh dil mein tere KHauf-e-KHuda hai ki nahin hai
tu mai ki mazammat to kiya karta hai waiz
ye shai magar andoh-ruba hai ki nahin hai
insaf se len kaam jinhen zauq-e-suKHan hai
uslub mera sab se juda hai ki nahin hai
'talib' to yaqinan hi teri sari KHudai
lekin koi raazi-ba-raza hai ki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.