ai kashmakash-e-ulfat ji saKHt pareshan hai
ai kashmakash-e-ulfat ji saKHt pareshan hai
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
ai kashmakash-e-ulfat jī saḳht pareshāñ hai
marne kī bhī hasrat hai jiine kā bhī armāñ hai
sāhil se nahīñ lagtī ġharqāb nahīñ hotī
kashtī hai thapeḌoñ meñ ye bhī koī tūfāñ hai
maiñ kyā mirī ulfat kyā tū aur mujhe pūchhe
bas ai sitam-ārā bas hasrat hai na armāñ hai
ye mauj-e-tabassum kyā zālim ise dho degī
jo rañg-e-pashemānī chehra se numāyāñ hai
maġhrūr-e-mohabbat huuñ ḳhud merī nigāhoñ meñ
ye be-sar-o-sāmānī rāz-e-sar-o-sāmāñ hai
is husn-e-mujassam kī sharmīlī adāoñ kā
ehsās-e-mohabbat bhī sharminda-e-ehsāñ hai
'manzūr' use ruḳhsat kis dil se karūñgā maiñ
dhaḌkā hai yahī har dam jab se ki vo mehmāñ hai
ai kashmakash-e-ulfat ji saKHt pareshan hai
marne ki bhi hasrat hai jine ka bhi arman hai
sahil se nahin lagti gharqab nahin hoti
kashti hai thapeDon mein ye bhi koi tufan hai
main kya meri ulfat kya tu aur mujhe puchhe
bas ai sitam-ara bas hasrat hai na arman hai
ye mauj-e-tabassum kya zalim ise dho degi
jo rang-e-pashemani chehra se numayan hai
maghrur-e-mohabbat hun KHud meri nigahon mein
ye be-sar-o-samani raaz-e-sar-o-saman hai
is husn-e-mujassam ki sharmili adaon ka
ehsas-e-mohabbat bhi sharminda-e-ehsan hai
'manzur' use ruKHsat kis dil se karunga main
dhaDka hai yahi har dam jab se ki wo mehman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.