ai KHamushi tera izhaar ab ziyaada ho
ai ḳhāmushī tirā iz.hār ab ziyāda ho
baḌhe masarrateñ ġham kī talab ziyāda ho
mirā nasīb mire sāmne hai chārāgar
ab intizār ki āzār kab ziyāda ho
vo lauT aaya kare din Dhale nasheman meñ
shumār us meñ parindoñ kā Dhab ziyāda ho
baḌe sukūn meñ dikhtī haiñ ye bhī mumkin hai
udāsiyoñ ke gharoñ meñ tarab ziyāda ho
is aa.ine ne hazāroñ diloñ ko toḌā hai
so TūTne kā ise ḳhauf ab ziyāda ho
nikalnā DhūñDne us roz ishq ko 'mīrā'
tumhārā jism ho kam ruuh jab ziyāda ho
ai KHamushi tera izhaar ab ziyaada ho
baDhe masarraten gham ki talab ziyaada ho
mera nasib mere samne hai chaaragar
ab intizar ki aazar kab ziyaada ho
wo lauT aaya kare din Dhale nasheman mein
shumar us mein parindon ka Dhab ziyaada ho
baDe sukun mein dikhti hain ye bhi mumkin hai
udasiyon ke gharon mein tarab ziyaada ho
is aaine ne hazaron dilon ko toDa hai
so TuTne ka ise KHauf ab ziyaada ho
nikalna DhunDne us roz ishq ko 'mira'
tumhaara jism ho kam ruh jab ziyaada ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.