ai KHuda ishq mein mehnat meri barbaad na ho
ai ḳhudā ishq meñ mehnat mirī barbād na ho
dil giraftār-e-vafā hai kahīñ āzād na ho
va.ada-e-vasl unheñ yaad dilā.ūñ to kaheñ
baat tum aisī kaho kyoñ jo mujhe yaad na ho
dil-e-āfat-zada ab dekh chukā aish ke din
ye vo vīrāna hai jo phir kabhī ābād na ho
dar qafas kā hai khulā kuchh sar-e-parvāz nahīñ
is qadar bhī asar-e-ulfat-e-sayyād na ho
jis ko tū lutf samajhtā hai sitam niklegā
ai dil āġhāz-e-mohabbat hai abhī shaad na ho
vasl ke zikr se kyā kaam samajh jā.ūñgā
ik ishārā hī sahī muñh se kuchh irshād na ho
zulm-e-be-jā se to ḳhud baaz nahīñ aate haiñ
aur mujh par hai ye tākīd ki fariyād na ho
tere qāmat ne uThā.ī hai qayāmat kaisī
mujh ko Dar hai ye koī misra-e-ustād na ho
aaj kyoñ naġhma-e-lai meñ hai fuġhāñ kā andāz
terī mahfil meñ kahīñ 'kaukab'-e-nāshād na ho
ai KHuda ishq mein mehnat meri barbaad na ho
dil giraftar-e-wafa hai kahin aazad na ho
wada-e-wasl unhen yaad dilaun to kahen
baat tum aisi kaho kyon jo mujhe yaad na ho
dil-e-afat-zada ab dekh chuka aish ke din
ye wo virana hai jo phir kabhi aabaad na ho
dar qafas ka hai khula kuchh sar-e-parwaz nahin
is qadar bhi asar-e-ulfat-e-sayyaad na ho
jis ko tu lutf samajhta hai sitam niklega
ai dil aaghaz-e-mohabbat hai abhi shad na ho
wasl ke zikr se kya kaam samajh jaunga
ek ishaara hi sahi munh se kuchh irshad na ho
zulm-e-be-ja se to KHud baz nahin aate hain
aur mujh par hai ye takid ki fariyaad na ho
tere qamat ne uThai hai qayamat kaisi
mujh ko Dar hai ye koi misra-e-ustad na ho
aaj kyon naghma-e-lai mein hai fughan ka andaz
teri mahfil mein kahin 'kaukab'-e-nashad na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.