ai KHuda shahr-e-mohabbat mein kabhi aisa na ho
ai KHuda shahr-e-mohabbat mein kabhi aisa na ho
Manzoor-ul-Haq Nazir
MORE BYManzoor-ul-Haq Nazir
ai ḳhudā shahr-e-mohabbat meñ kabhī aisā na ho
bhuuk se betāb koī bhī yahāñ bachcha na ho
kyā ḳhabar us shaḳhs ko majbūriyāñ hotī haiñ kyā
ġhurbat-o-iflās ko jis ne kabhī dekhā na ho
chāhtā huuñ maiñ ki lā-mahdūd ho merā ḳhayāl
dā.ere kī shakl meñ ye ik jagah simTā na ho
jo mirī taqdīr meñ likkhā thā mujh ko mil gayā
ab mirī āñkhoñ meñ yārab dūsrā chehra na ho
be-sar-o-sāmāniyoñ meñ zindagī jiitā huuñ maiñ
ai ḳhudā dushman ko bhī ye dukh mile aisā na ho
tum mujhe apnā kaho maiñ bhī tumheñ apnā kahūñ
jān-e-man ye pyaar duniyā meñ kabhī rusvā na ho
chāhtā huuñ maiñ yahī 'nāzir' ki sab se ho nibāh
mere hoñToñ par kabhī ahbāb kā shikva na ho
ai KHuda shahr-e-mohabbat mein kabhi aisa na ho
bhuk se betab koi bhi yahan bachcha na ho
kya KHabar us shaKHs ko majburiyan hoti hain kya
ghurbat-o-iflas ko jis ne kabhi dekha na ho
chahta hun main ki la-mahdud ho mera KHayal
daere ki shakl mein ye ek jagah simTa na ho
jo meri taqdir mein likkha tha mujh ko mil gaya
ab meri aankhon mein yarab dusra chehra na ho
be-sar-o-samaniyon mein zindagi jita hun main
ai KHuda dushman ko bhi ye dukh mile aisa na ho
tum mujhe apna kaho main bhi tumhein apna kahun
jaan-e-man ye pyar duniya mein kabhi ruswa na ho
chahta hun main yahi 'nazir' ki sab se ho nibah
mere honTon par kabhi ahbab ka shikwa na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.