ai maqsad-e-hayat mujhe rasta dikha
ai maqsad-e-hayāt mujhe rāsta dikhā
sun le guzārishāt mujhe rāsta dikhā
sadiyoñ se merī zaat ke andar chhupī huī
kahne lagī hai raat mujhe rāsta dikhā
dil hai yā koī sang-sifat aa.ina hai ye
TuuTe ye somnāt mujhe rāsta dikhā
dil hai tumhāre ḳhvāb kī āġhosh meñ kahīñ
mahv-e-tasavvurāt mujhe rāsta dikhā
ab tak to aa gayā huuñ sahārā liye baġhair
aage haiñ mushkilāt mujhe rāsta dikhā
baḳhsho mirī hayāt ko ik rāsta nayā
yā phir na.ī hayāt mujhe rāsta dikhā
'bābar' ulajh gayā hai tumhārī talāsh meñ
ai rabb-e-kā.ināt mujhe rāsta dikhā
ai maqsad-e-hayat mujhe rasta dikha
sun le guzarishat mujhe rasta dikha
sadiyon se meri zat ke andar chhupi hui
kahne lagi hai raat mujhe rasta dikha
dil hai ya koi sang-sifat aaina hai ye
TuTe ye somnat mujhe rasta dikha
dil hai tumhaare KHwab ki aaghosh mein kahin
mahw-e-tasawwuraat mujhe rasta dikha
ab tak to aa gaya hun sahaara liye baghair
aage hain mushkilat mujhe rasta dikha
baKHsho meri hayat ko ek rasta naya
ya phir nai hayat mujhe rasta dikha
'babar' ulajh gaya hai tumhaari talash mein
ai rabb-e-kainat mujhe rasta dikha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.