ai markaz-e-KHayal bikharne laga hun main
ai markaz-e-ḳhayāl bikharne lagā huuñ maiñ
apne tasavvurāt se Darne lagā huuñ maiñ
is dopahar kī dhuup meñ saaya bhī kho gayā
tanhā.iyoñ ke dil meñ utarne lagā huuñ maiñ
bardāsht kar na pā.ūñgā vahshat kī raat ko
use shām-e-intizār bipharne lagā huuñ maiñ
is tīrgī meñ kirmak-e-shab-tāb bhī nahīñ
tārīkiyoñ ko ruuh meñ bharne lagā huuñ maiñ
ab dil meñ terī yaad kī ik sham.a tak nahīñ
tārīk rāstoñ se guzarne lagā huuñ maiñ
ai markaz-e-KHayal bikharne laga hun main
apne tasawwuraat se Darne laga hun main
is dopahar ki dhup mein saya bhi kho gaya
tanhaiyon ke dil mein utarne laga hun main
bardasht kar na paunga wahshat ki raat ko
use sham-e-intizar bipharne laga hun main
is tirgi mein kirmak-e-shab-tab bhi nahin
tarikiyon ko ruh mein bharne laga hun main
ab dil mein teri yaad ki ek shama tak nahin
tarik raston se guzarne laga hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.