ai mere dil ye tere dar pe jo dastak si hai
ai mire dil ye tire dar pe jo dastak sī hai
mujh ko lagtā hai havāoñ ne mohabbat kī hai
maiñ ne tanhā hī sañbhālā hai ḳhazāne ko tire
zindagī tujh se har ik rang meñ ulfat kī hai
raaz ab raaz nahīñ koī tirī mahfil meñ
bin piye bhī tire lahje meñ jo larzish sī hai
lauT jaate haiñ sabhī apne gharoñdoñ kī taraf
dil-e-vīrāñ ne sar-e-shām ye hujjat kī hai
yuuñ tapish mujh ko jalā.e hai rulā.e hai magar
sham.a har rang meñ jaltī hai sahar hotī hai
kohr sā phailtā jaatā hai mirī sub.hoñ meñ
haath jalte haiñ jo tāroñ kī talab hotī hai
ai mere dil ye tere dar pe jo dastak si hai
mujh ko lagta hai hawaon ne mohabbat ki hai
main ne tanha hi sanbhaala hai KHazane ko tere
zindagi tujh se har ek rang mein ulfat ki hai
raaz ab raaz nahin koi teri mahfil mein
bin piye bhi tere lahje mein jo larzish si hai
lauT jate hain sabhi apne gharondon ki taraf
dil-e-viran ne sar-e-sham ye hujjat ki hai
yun tapish mujh ko jalae hai rulae hai magar
shama har rang mein jalti hai sahar hoti hai
kohr sa phailta jata hai meri subhon mein
hath jalte hain jo taron ki talab hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.