ai meri aashiqi meri diwangi nam le kar mera tu bulana mujhe
ai mirī 'āshiqī merī dīvāngī naam le kar mirā tū bulānā mujhe
dard kī raat meñ ġham kī barsāt meñ aaj apne gale se lagānā mujhe
le chale phir mujhe mai-kade meñ koī mai-kade kā sukūñ mai-kade hī meñ hai
mai-kade se nikal kar maiñ bhaTkā bahut raas aayā na koī Thikānā mujhe
zindagī terā kuchh bhī na hote hue maiñ hamesha tirā ho ke jiitā rahā
lau vafāoñ kī kyoñ kam nahīñ ho rahī pūchh ke tū havā se batānā mujhe
kyoñ pashemāñ se ho kyoñ pareshāñ se ho maiñ ne dil ko mire aaj samjhā liyā
pahle tum ghuum kar dekh lo ye jahāñ thak ke tham jaao to āzmānā mujhe
aag hī aag hai farsh se 'arsh tak zikr hī kyā koī dil kī duniyā kā ab
jiinā mushkil thā pahle bhī merā magar aisā āsāñ na thā jaañ se jaanā mujhe
ai meri 'ashiqi meri diwangi nam le kar mera tu bulana mujhe
dard ki raat mein gham ki barsat mein aaj apne gale se lagana mujhe
le chale phir mujhe mai-kade mein koi mai-kade ka sukun mai-kade hi mein hai
mai-kade se nikal kar main bhaTka bahut ras aaya na koi Thikana mujhe
zindagi tera kuchh bhi na hote hue main hamesha tera ho ke jita raha
lau wafaon ki kyon kam nahin ho rahi puchh ke tu hawa se batana mujhe
kyon pasheman se ho kyon pareshan se ho main ne dil ko mere aaj samjha liya
pahle tum ghum kar dekh lo ye jahan thak ke tham jao to aazmana mujhe
aag hi aag hai farsh se 'arsh tak zikr hi kya koi dil ki duniya ka ab
jina mushkil tha pahle bhi mera magar aisa aasan na tha jaan se jaana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.