Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai mohabbat dekh tauhin-e-shakebai na ho

Mohammad Moosa

ai mohabbat dekh tauhin-e-shakebai na ho

Mohammad Moosa

MORE BYMohammad Moosa

    ai mohabbat dekh tauhīn-e-shakebā.ī na ho

    merā kuchh bhī hashr ho bas un rusvā.ī na ho

    ham se pūchho jalva-e-be-rang rangīniyāñ

    ḳhaak dekheñgī vo āñkheñ jin meñ bīnā.ī na ho

    kis ne dastak ye darvāze pe kar dekhnā

    muzhda-e-fasl-e-bahārāñ sub.h-e-nau laa.ī na ho

    ham-nashīñ parvarda-e-dard-o-alam hai merī zaat

    kaun vo mauj hai jo mujh se Takrā.ī na ho

    zindagī jaisā na hogā koī begāna-mizāj

    ek muddat saath rah kar bhī shanāsā.ī na ho

    tāzgī hai havāoñ meñ fazā meñ naġhmagī

    ham-qafas sehn-e-gulistāñ meñ bahār aa.ī na ho

    terā 'mūsā' ek aasī hai rahmān-o-rahīm

    yā-ilāhī hashr ke din us rusvā.ī na ho

    ai mohabbat dekh tauhin-e-shakebai na ho

    mera kuchh bhi hashr ho bas un ki ruswai na ho

    hum se puchho jalwa-e-be-rang ki ranginiyan

    KHak dekhengi wo aankhen jin mein binai na ho

    kis ne dastak di ye darwaze pe ja kar dekhna

    muzhda-e-fasl-e-bahaaran subh-e-nau lai na ho

    ham-nashin parwarda-e-dard-o-alam hai meri zat

    kaun si wo mauj hai jo mujh se Takrai na ho

    zindagi jaisa na hoga koi begana-mizaj

    ek muddat sath rah kar bhi shanasai na ho

    tazgi si hai hawaon mein faza mein naghmagi

    ham-qafas sehn-e-gulistan mein bahaar aai na ho

    tera 'musa' ek aasi tu hai rahman-o-rahim

    ya-ilahi hashr ke din us ki ruswai na ho

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now