ai mujhe mir ke ashaar sunane wale
ai mujhe 'mīr' ke ash.ār sunāne vaale
jaag uTThe haiñ ka.ī dard purāne vaale
mujh ko tanhā.ī meñ yuuñ chhoḌ ke jaatā kyuuñ hai
terī jānib haiñ ka.ī qarz chukāne vaale
ye batā hijr ke mausam kā mudāvā kyā hai
mujh ko andāz mohabbat ke sikhāne vaale
ishq vāloñ se hasab aur nasab pūchhte ho
log haiñ ye to miyāñ ūñche gharāne vaale
varna sahrā kī na yuuñ ḳhaak uḌaa.ī hotī
tū ne dekhe hī nahīñ saañp ḳhazāne vaale
dil kī manzil kā hai āġhāz vahāñ se 'āsif'
lauT aate haiñ jahāñ se ye zamāne vaale
ai mujhe 'mir' ke ashaar sunane wale
jag uTThe hain kai dard purane wale
mujh ko tanhai mein yun chhoD ke jata kyun hai
teri jaanib hain kai qarz chukane wale
ye bata hijr ke mausam ka mudawa kya hai
mujh ko andaz mohabbat ke sikhane wale
ishq walon se hasab aur nasab puchhte ho
log hain ye to miyan unche gharane wale
warna sahra ki na yun KHak uDai hoti
tu ne dekhe hi nahin sanp KHazane wale
dil ki manzil ka hai aaghaz wahan se 'asif'
lauT aate hain jahan se ye zamane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.