ai mushfiq-e-man is haal mein tum kis tarah basar farmaoge
ai mushfiq-e-man is haal mein tum kis tarah basar farmaoge
Mushfiq Khwaja
MORE BYMushfiq Khwaja
ai mushfiq-e-man is haal meñ tum kis tarah basar farmāoge
anjān bane chup baiThoge aur jaan ke dhoke khāoge
tum apne ghar ke añdhere meñ kyā dekhte ho dīvāroñ ko
ye sham.a kī sūrat jalnā kyā aa.egī havā bujh jāoge
jin jhūTe sachche ḳhvāboñ kī ta.abīr ġham-e-tanhā.ī hai
un jhūTe sachche ḳhvāboñ se tum kab tak dil bahlāoge
in dīda-o-dil kī rāhoñ par tum kis kī talāsh meñ phirte ho
jo khonā thā so kho baiThe kyā DhūñDoge kyā pāoge
chhoḌo bhī purānī bātoñ ko jo dil par biitī biit ga.ī
afsurda-dilī se tum kab tak har mahfil ko garmāoge
tum ḳhalvat-e-ġham se niklo to is shahr meñ aise log bhī haiñ
ik baar jo un ko dekhoge to dekhte hī rah jāoge
kuchh gard-e-safar ke rishte se kuchh naqsh-e-qadam ke naate se
jis raah se guzroge yaaro ham ko bhī vahīñ tum pāoge
mumkin hī nahīñ hai lafzoñ meñ is husn kī ho tafsīr koī
jab aañkh khule ḳhāmosh raho kyā samjhoge samjhāoge
jo pahle the ham vo aaj bhī haiñ pahchān hamārī āsāñ hai
tum ruup badal kar laakh phiro par kis kis ko jhuTlāoge
ai mushfiq-e-man is haal mein tum kis tarah basar farmaoge
anjaan bane chup baiThoge aur jaan ke dhoke khaoge
tum apne ghar ke andhere mein kya dekhte ho diwaron ko
ye shama ki surat jalna kya aaegi hawa bujh jaoge
jin jhuTe sachche KHwabon ki tabir gham-e-tanhai hai
un jhuTe sachche KHwabon se tum kab tak dil bahlaoge
in dida-o-dil ki rahon par tum kis ki talash mein phirte ho
jo khona tha so kho baiThe kya DhunDoge kya paoge
chhoDo bhi purani baaton ko jo dil par biti bit gai
afsurda-dili se tum kab tak har mahfil ko garmaoge
tum KHalwat-e-gham se niklo to is shahr mein aise log bhi hain
ek bar jo un ko dekhoge to dekhte hi rah jaoge
kuchh gard-e-safar ke rishte se kuchh naqsh-e-qadam ke nate se
jis rah se guzroge yaro hum ko bhi wahin tum paoge
mumkin hi nahin hai lafzon mein is husn ki ho tafsir koi
jab aankh khule KHamosh raho kya samjhoge samjhaoge
jo pahle the hum wo aaj bhi hain pahchan hamari aasan hai
tum rup badal kar lakh phiro par kis kis ko jhuTlaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.