ai nama-bar ulfat ka asar hai ki nahin hai
ai nāma-bar ulfat kā asar hai ki nahīñ hai
jo haal idhar hai vo udhar hai ki nahīñ hai
āsār to achchhe nahīñ ai shām-e-judā.ī
kyā jāniye qismat meñ sahar hai ki nahīñ hai
ab zikr hī kyā dard kā ai chashm-e-fusūñ-sāz
ye bhī nahīñ ma.alūm jigar hai ki nahīñ hai
vo kyā hai kahāñ hai ye patā pūchhne vaale
pahle ye batā apnī ḳhabar hai ki nahīñ hai
dīdār mubārak magar ai shauq-e-nazāra
guzrī thī jo kal pesh-e-nazar hai ki nahīñ hai
kyā kam haiñ jafāoñ se lagāvaT kī adā.eñ
ye zulm ba-andāz-e-digar hai ki nahīñ hai
'navvāb' ġham-e-ishq samā.egā kahāñ ab
kuchh shīsha-e-dil kī bhī ḳhabar hai ki nahīñ hai
ai nama-bar ulfat ka asar hai ki nahin hai
jo haal idhar hai wo udhar hai ki nahin hai
aasar to achchhe nahin ai sham-e-judai
kya jaaniye qismat mein sahar hai ki nahin hai
ab zikr hi kya dard ka ai chashm-e-fusun-saz
ye bhi nahin malum jigar hai ki nahin hai
wo kya hai kahan hai ye pata puchhne wale
pahle ye bata apni KHabar hai ki nahin hai
didar mubarak magar ai shauq-e-nazara
guzri thi jo kal pesh-e-nazar hai ki nahin hai
kya kam hain jafaon se lagawaT ki adaen
ye zulm ba-andaz-e-digar hai ki nahin hai
'nawwab' gham-e-ishq samaega kahan ab
kuchh shisha-e-dil ki bhi KHabar hai ki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.