ai pari-zad kuchh to bata ye bhi kya qarya-e-qaf ka bhed hai
ai parī-zād kuchh to batā ye bhī kyā qarya-e-qāf kā bhed hai
terī komal hathelī pe cell-phone raushan hai yā jām-e-jamshed hai
chashm-e-hairāñ meñ āshuftagī se murādoñ bharī raat Dhalne lagī
ik sitāra chamaktā hai yā āsmāñ kī ridā meñ koī chhed hai
koh-e-alburz par ran paḌā jaane kab se hai vīrāñ bahisht-e-barīñ
sair ke vāste ab faqat bāġh-e-shīrāz hai taḳht-e-jamshed hai
vasl kī bārishoñ meñ ghanā bed-e-majnūñ ki sar-sabz-o-shādāb thā
hijr meñ ab to lāġhar badan jaise koī laraztā huā bed hai
nasl-dar-nasl milte kahāñ ḳhāl-o-ḳhad chashm-o-ruḳhsār ke silsile
par ye qudrat kī mashshātgī jīniyātī karāmat kā ik bhed hai
ai pari-zad kuchh to bata ye bhi kya qarya-e-qaf ka bhed hai
teri komal hatheli pe cell-phone raushan hai ya jam-e-jamshed hai
chashm-e-hairan mein aashuftagi se muradon bhari raat Dhalne lagi
ek sitara chamakta hai ya aasman ki rida mein koi chhed hai
koh-e-alburz par ran paDa jaane kab se hai viran bahisht-e-barin
sair ke waste ab faqat bagh-e-shiraaz hai taKHt-e-jamshed hai
wasl ki barishon mein ghana bed-e-majnun ki sar-sabz-o-shadab tha
hijr mein ab to laghar badan jaise koi larazta hua bed hai
nasl-dar-nasl milte kahan KHal-o-KHad chashm-o-ruKHsar ke silsile
par ye qudrat ki mashshatgi jiniyati karamat ka ek bhed hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.