ai rabb-e-kainat yaqin chahiye hamein
ai rabb-e-kā.ināt yaqīñ chāhiye hameñ
jo chāhte haiñ ham vo yahīñ chāhiye hameñ
ġhāfil kare jo yaad se terī tamām raat
itnā sukūn bhī to nahīñ chāhiye hameñ
kab tak havā ke dosh pe chalte raheñge ham
rakhne ko paañv kuchh to zamīñ chāhiye hameñ
andar kī samt hone lagā hai safar nayā
bāhar paḌā hai jo bhī nahīñ chāhiye hameñ
taare ravāñ ho jis ke qadam chūmte hue
'mansūr' aisā ḳhāk-nashīñ chāhiye hameñ
ai rabb-e-kainat yaqin chahiye hamein
jo chahte hain hum wo yahin chahiye hamein
ghafil kare jo yaad se teri tamam raat
itna sukun bhi to nahin chahiye hamein
kab tak hawa ke dosh pe chalte rahenge hum
rakhne ko panw kuchh to zamin chahiye hamein
andar ki samt hone laga hai safar naya
bahar paDa hai jo bhi nahin chahiye hamein
tare rawan ho jis ke qadam chumte hue
'mansur' aisa KHak-nashin chahiye hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.