ai rashk-e-parda-soz shikayat ki ja nahin
ai rashk-e-parda-soz shikāyat kī jā nahīñ
vo bazm-e-nāz hai dil-e-be-mudda.ā nahīñ
'beḳhud' ḳhayāl-e-yār meñ bū-e-vafā nahīñ
goyā ki ye kabhī mire dil meñ rahā nahīñ
sayyād qaid kar ke mujhe dekh le zarā
dil ḳhuuñ na ho to bulbul-e-ḳhūnīñ-navā nahīñ
allah rī be-niyāzī-e-āsūdgān-e-ḳhāk
is qurb par kisī se koī boltā nahīñ
nairangī-e-ḳhayāl se dhokā hai ġhair kā
kahtī hai shān-e-husn koī dūsrā nahīñ
aatī hai zarre zarre se āvāz-e-bāzgasht
phir bhī ye kah rahā hai abhī kuchh kahā nahīñ
shīrāza-band-e-dard-e-tasalsul hai zulf-e-yār
āġhāz-e-mudda.ā kī koī intihā nahīñ
hai jalva-rez-e-bazm-e-tasavvur jamāl-e-yār
ai chashm-e-shauq ab ye taġhāful ravā nahīñ
chingāriyāñ sī uḌne lagī haiñ nigāh meñ
kyoñ soz-gar ye terī kahīñ intihā nahīñ
mahrūmiyoñ se zauq hai nākāmiyoñ se ishq
maiñ kāmyāb huuñ ye mirā mudda.ā nahīñ
jaatī hai kū-e-majma.a-e-mahshar pe yaañ nazar
vo parda-e-hujūm-e-tamannā uThā nahīñ
yuuñ intihā-e-zo.af meñ hai shikva-e-jafā
goyā ye dil kabhī kā sitam-āshnā nahīñ
'beḳhud' hai be-niyāz koī ye bhī sun liyā
sharminda-e-qubūl hamārī duā nahīñ
ai rashk-e-parda-soz shikayat ki ja nahin
wo bazm-e-naz hai dil-e-be-muddaa nahin
'beKHud' KHayal-e-yar mein bu-e-wafa nahin
goya ki ye kabhi mere dil mein raha nahin
sayyaad qaid kar ke mujhe dekh le zara
dil KHun na ho to bulbul-e-KHunin-nawa nahin
allah ri be-niyazi-e-asudgan-e-KHak
is qurb par kisi se koi bolta nahin
nairangi-e-KHayal se dhoka hai ghair ka
kahti hai shan-e-husn koi dusra nahin
aati hai zarre zarre se aawaz-e-bazgasht
phir bhi ye kah raha hai abhi kuchh kaha nahin
shiraaza-band-e-dard-e-tasalsul hai zulf-e-yar
aaghaz-e-muddaa ki koi intiha nahin
hai jalwa-rez-e-bazm-e-tasawwur jamal-e-yar
ai chashm-e-shauq ab ye taghaful rawa nahin
chingariyan si uDne lagi hain nigah mein
kyon soz-gar ye teri kahin intiha nahin
mahrumiyon se zauq hai nakaamiyon se ishq
main kaamyab hun ye mera muddaa nahin
jati hai ku-e-majma-e-mahshar pe yan nazar
wo parda-e-hujum-e-tamanna uTha nahin
yun intiha-e-zoaf mein hai shikwa-e-jafa
goya ye dil kabhi ka sitam-ashna nahin
'beKHud' hai be-niyaz koi ye bhi sun liya
sharminda-e-qubul hamari dua nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.