ai raza KHud ko asir-e-rahguzar kahna paDa
ai 'razā' ḳhud ko asīr-e-rahguzar kahnā paḌā
vaqt aise rāhzan ko ham-safar kahnā paḌā
baat ye hai ham ne ḳhud apnā liyā jo dosto
zindagī ke is chalan ko mo'atabar kahnā paḌā
ham to sadiyoñ se sitāroñ kī tarah ḳhāmosh the
ġham kā afsāna tire isrār par kahnā paḌā
alamiya is se sivā 'sābir' 'razā' kyā aur ho
apne saare dostoñ ko kam-nazar kahnā paḌā
ai 'raza' KHud ko asir-e-rahguzar kahna paDa
waqt aise rahzan ko ham-safar kahna paDa
baat ye hai hum ne KHud apna liya jo dosto
zindagi ke is chalan ko mo'atabar kahna paDa
hum to sadiyon se sitaron ki tarah KHamosh the
gham ka afsana tere israr par kahna paDa
alamiya is se siwa 'sabir' 'raza' kya aur ho
apne sare doston ko kam-nazar kahna paDa
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 361)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.