ai sahab-e-waqt mujhko dekh kar Thahra na kar
ai sahab-e-waqt mujhko dekh kar Thahra na kar
Prem Narayan Saxena Raz
MORE BYPrem Narayan Saxena Raz
ai sahāb-e-vaqt mujh ko dekh kar Thahrā na kar
dhuup sar par dā.imī hai aarzī saaya na kar
āshiqī shā.istagī-o-rāz-dārī kā hai naam
ḳhud bhī be-parvā na ho mujh ko bhī be-parvā na kar
zinda rahnā mohlat-e-imroz meñ hai zindagī
dosh-o-fardā kā ma.aal ai be-ḳhabar sochā na kar
ḳhāliq-e-manzil hai tū rakh apnī himmat par yaqīñ
rāste meñ naqsh-e-pā-e-rahnumā DhūñDā na kar
sādgī par maiñ tirī sau jaan se qurbān huuñ
yuuñ ba-andāz-tasanno.a sāmne aaya na kar
baad ke hāthoñ meñ kuchh kankar haiñ dasht-o-koh ke
narm miTTī se uge ai naḳhl sar ūñchā na kar
dhaḌkanoñ ke zer-o-bam se raaz ho jaate haiñ faash
ai dil-e-betāb is andāz se dhaḌkā na kar
āñkhoñ āñkhoñ meñ bayāñ kar har haqīqat 'rāz' kī
kaan dīvāroñ ke bhī hote haiñ lab kholā na kar
ai sahab-e-waqt mujh ko dekh kar Thahra na kar
dhup sar par daimi hai aarzi saya na kar
aashiqi shaistagi-o-raaz-dari ka hai nam
KHud bhi be-parwa na ho mujh ko bhi be-parwa na kar
zinda rahna mohlat-e-imroz mein hai zindagi
dosh-o-farda ka maal ai be-KHabar socha na kar
KHaliq-e-manzil hai tu rakh apni himmat par yaqin
raste mein naqsh-e-pa-e-rahnuma DhunDa na kar
sadgi par main teri sau jaan se qurban hun
yun ba-andaz-tasannoa samne aaya na kar
baad ke hathon mein kuchh kankar hain dasht-o-koh ke
narm miTTi se uge ai naKHl sar uncha na kar
dhaDkanon ke zer-o-bam se raaz ho jate hain fash
ai dil-e-betab is andaz se dhaDka na kar
aankhon aankhon mein bayan kar har haqiqat 'raaz' ki
kan diwaron ke bhi hote hain lab khola na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.