ai sakhiyan maine dekhya sang kar ke yar ka
ai sakhīyan maiñ ne dekhyā sang kar ke yaar kā
pan na dekhyā be-samajh hor sang-dil tujh saar kā
jiiv lene jāntā hor dilbarī ke tū kalā
ghar meñ hai lag aapnā hor bhārge parpār kā
jiiv jal kahtā huuñ maiñ pan sun tuuñ sañgīñ huuñ nikū
bol apas kī birah kī par bas meñ bilkhanhār kā
ghaav kaarī uchh na jaanā jiiv hor jam talkhalī
yuuñ to ḳhāsiyat disyā tujh 'ishq kī tarvār kā
til tire rakhte haiñ jaagā tiin lak payāde kī aaj
chak tire karte haiñ dā'vā chaar lak asvār kā
'ishq meñ kuchh 'adl achhutā to na achhutā be-dhaḌak
dukh dilāvar lashkarī sar kaaT sukh sardār kā
'bahriyā' sar paañv kyuuñ kartā haqīqat kā so bol
girnā khaḌtā sar pe tere u majāzī maar kā
ai sakhiyan main ne dekhya sang kar ke yar ka
pan na dekhya be-samajh hor sang-dil tujh sar ka
jiw lene jaanta hor dilbari ke tu kala
ghar mein hai lag aapna hor bhaarge parpar ka
jiw jal kahta hun main pan sun tun sangin hun niku
bol apas ki birah ki par bas mein bilkhanhaar ka
ghaw kari uchh na jaana jiw hor jam talkhali
yun to KHasiyat disya tujh 'ishq ki tarwar ka
til tere rakhte hain jaga tin lak payaade ki aaj
chak tere karte hain da'wa chaar lak aswar ka
'ishq mein kuchh 'adl achhuta to na achhuta be-dhaDak
dukh dilawar lashkari sar kaT sukh sardar ka
'bahriya' sar panw kyun karta haqiqat ka so bol
girna khaDta sar pe tere u majazi mar ka
- Kulliyat-e-Behri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.