ai shah-e-be-KHudi kabhi diwana kar mujhe
ai shāh-e-be-ḳhudī kabhī dīvāna kar mujhe
jab ho chukūñ divāna to achchhā na kar mujhe
āñkhoñ ko merī apnī basārat pe naaz ho
jab sāmne vo aa.e to andhā na kar mujhe
ab aur kitnī baar chalūñ pul-sirāt par
vāpas bulā le phir kabhī paidā na kar mujhe
ai paikar-e-fanā ye tirā inzimām hai
dariyā banā huuñ qatre se royā na kar mujhe
mustaġhraq-e-junūn-e-ta.ayyush meñ jab rahūñ
ai raqs-e-zāt sab kā tamāshā na kar mujhe
rahne na de junūñ mirā mujh ko sukūn se
dast-e-shifā de aur masīhā na kar mujhe
ai shah-e-be-KHudi kabhi diwana kar mujhe
jab ho chukun diwana to achchha na kar mujhe
aankhon ko meri apni basarat pe naz ho
jab samne wo aae to andha na kar mujhe
ab aur kitni bar chalun pul-siraat par
wapas bula le phir kabhi paida na kar mujhe
ai paikar-e-fana ye tera inzimam hai
dariya bana hun qatre se roya na kar mujhe
mustaghraq-e-junun-e-tayyush mein jab rahun
ai raqs-e-zat sab ka tamasha na kar mujhe
rahne na de junun mera mujh ko sukun se
dast-e-shifa de aur masiha na kar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.