ai shaKHs dekh waqt hai ab bhi pukar le
ai shaḳhs dekh vaqt hai ab bhī pukār le
phir yuuñ na ho ki ham ko udāsī pukār le
ḳhud se farār paane ke us marhale pe haiñ
labbaik kah uTheñge koī bhī pukār le
dariyā ko hoñ pasañd to paanī hameñ bulā.e
sahrā ke man ko bhā.eñ to miTTī pukār le
ḳhushiyoñ meñ kis ko aatī hai bhūle huoñ kī yaad
shāyad ab us kī aañkh kā paanī pukār le
din to guzār aa.e haiñ sūraj-mukhī ke saath
ab chāhte haiñ raat kī raanī pukār le
kyā jāniye nasīb sañvar jaa.e kis ghaḌī
kyā jaane kab vo husn kī devī pukār le
tai kar ke jā chuke haiñ sabhī raat kā safar
ummīd hai ki sub.h mujhe bhī pukār le
ḳhud se farār paa.eñ to chain aa.e 'imtiyāz'
manzil nahīñ to rāhguzar hī pukār le
ai shaKHs dekh waqt hai ab bhi pukar le
phir yun na ho ki hum ko udasi pukar le
KHud se farar pane ke us marhale pe hain
labbaik kah uThenge koi bhi pukar le
dariya ko hon pasand to pani hamein bulae
sahra ke man ko bhaen to miTTi pukar le
KHushiyon mein kis ko aati hai bhule huon ki yaad
shayad ab us ki aankh ka pani pukar le
din to guzar aae hain suraj-mukhi ke sath
ab chahte hain raat ki rani pukar le
kya jaaniye nasib sanwar jae kis ghaDi
kya jaane kab wo husn ki dewi pukar le
tai kar ke ja chuke hain sabhi raat ka safar
ummid hai ki subh mujhe bhi pukar le
KHud se farar paen to chain aae 'imtiyaz'
manzil nahin to rahguzar hi pukar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.