ai shauq ke matwale kuchh tujhko KHabar bhi hai
ai shauq ke matwale kuchh tujhko KHabar bhi hai
Naqvii Mustafa Aabadi
MORE BYNaqvii Mustafa Aabadi
ai shauq ke matvāle kuchh tujh ko ḳhabar bhī hai
ik tū hī nahīñ rusvā vo rashk-e-qamar bhī hai
dil ā.ina-e-mahfil aur mahfil-e-ā.īna
dekho mirī āñkhoñ meñ ā.īna-e-tar bhī hai
ai sho.ala-e-javvāla Tuk saath use bhī le
muddat se tamanna meñ ik ḳhāk-basar bhī hai
dil terī kashākash se aa.e to mire ghar vo
chehre pe magar un ke kuchh gard-e-safar bhī hai
maiñ un kā huuñ shaidā.ī mujh se unheñ nafrat hai
duniyā-e-mohabbat meñ jannat bhī saqar bhī hai
is va.ada-e-fardā kā kyā ḳhaak yaqīñ aa.e
lab par to tire haañ hai āñkhoñ meñ magar bhī hai
ā.īna-e-ma.anī par kī ham ne jilā 'naqvī'
ab bhī jo na ho qaa.il pūchho ki nazar bhī hai
ai shauq ke matwale kuchh tujh ko KHabar bhi hai
ek tu hi nahin ruswa wo rashk-e-qamar bhi hai
dil aaina-e-mahfil aur mahfil-e-aina
dekho meri aankhon mein aaina-e-tar bhi hai
ai shoala-e-jawwala Tuk sath use bhi le
muddat se tamanna mein ek KHak-basar bhi hai
dil teri kashakash se aae to mere ghar wo
chehre pe magar un ke kuchh gard-e-safar bhi hai
main un ka hun shaidai mujh se unhen nafrat hai
duniya-e-mohabbat mein jannat bhi saqar bhi hai
is wada-e-farda ka kya KHak yaqin aae
lab par to tere han hai aankhon mein magar bhi hai
aaina-e-mani par ki hum ne jila 'naqwi'
ab bhi jo na ho qail puchho ki nazar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.