ai shuur-e-zindagi dil tera girwida bhi hai
ai shu.ūr-e-zindagī dil terā girvīda bhī hai
maslahat-koshī se lekin terī ġham-dīda bhī hai
apne ashkoñ kā maiñ hañs kar ḳhud uḌātā huuñ mazāq
zindagī bhar kā magar ġham in meñ poshīda bhī hai
TuuT kar dhoke se bhī bikhre ye mumkin hī nahīñ
dil mirā saada sahī lekin jahāñ-dīda bhī hai
shoḳhī-e-daurāñ se kah diije na chheḌe vo mujhe
merī fitrat meñ nihāñ ik shaḳhs sanjīda bhī hai
chand zarre merī palkoñ par chamak kar rah ga.e
varna ye dil ek sang-e-nā-tarāshīda bhī hai
kitne tūfāñ chand qatroñ se uThā saktā hai dil
tum agar kah do mirī ḳhātir to ranjīda bhī hai
zindagī guzrī hai yuuñ to sab havādis meñ magar
hai abhī ik hādisa aisā jo nādīda bhī he
hai mirī nazroñ meñ 'sāqib' vus.at-e-rāh-e-vafā
zulf-e-jānāñ kī tarah lekin vo pechīda bhī hai
ai shuur-e-zindagi dil tera girwida bhi hai
maslahat-koshi se lekin teri gham-dida bhi hai
apne ashkon ka main hans kar KHud uData hun mazaq
zindagi bhar ka magar gham in mein poshida bhi hai
TuT kar dhoke se bhi bikhre ye mumkin hi nahin
dil mera sada sahi lekin jahan-dida bhi hai
shoKHi-e-dauran se kah dije na chheDe wo mujhe
meri fitrat mein nihan ek shaKHs sanjida bhi hai
chand zarre meri palkon par chamak kar rah gae
warna ye dil ek sang-e-na-tarashida bhi hai
kitne tufan chand qatron se uTha sakta hai dil
tum agar kah do meri KHatir to ranjida bhi hai
zindagi guzri hai yun to sab hawadis mein magar
hai abhi ek hadisa aisa jo nadida bhi he
hai meri nazron mein 'saqib' wusat-e-rah-e-wafa
zulf-e-jaanan ki tarah lekin wo pechida bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.