ai wahshat-e-jaan dard ke shahkar bahut hain
ai vahshat-e-jāñ dard ke shahkār bahut haiñ
zinda haiñ magar log ye bīmār bahut haiñ
nafrat meñ nahīñ aib mohabbat pe hai bandish
is shahr meñ is tarz ke me.aar bahut haiñ
ye mashq-e-tabassum hai faqat rasm-e-zamāna
shikve to pas-e-parda-e-izhār bahut haiñ
ik mujh ko tirā dard bhī manzūr hai jānāñ
ḳhushiyoñ ke tirī varna talabgār bahut haiñ
vīrāne meñ ho saktā hai mahfūz raheñ ham
insān kī nagrī meñ to ḳhuñḳhār bahut haiñ
jismoñ kī tijārat to hamesha se huī hai
rūhoñ ke bhī is daur meñ bāzār bahut haiñ
ma.asūm-e-gunah sirf gunāhgār vahīñ haiñ
jis shahr meñ insāf ke darbār bahut haiñ
Thahre hue aañsū ka.ī jaagī huī rāteñ
'āsim' pe tire dard ke āsār bahut haiñ
ai wahshat-e-jaan dard ke shahkar bahut hain
zinda hain magar log ye bimar bahut hain
nafrat mein nahin aib mohabbat pe hai bandish
is shahr mein is tarz ke mear bahut hain
ye mashq-e-tabassum hai faqat rasm-e-zamana
shikwe to pas-e-parda-e-izhaar bahut hain
ek mujh ko tera dard bhi manzur hai jaanan
KHushiyon ke teri warna talabgar bahut hain
virane mein ho sakta hai mahfuz rahen hum
insan ki nagri mein to KHunKHar bahut hain
jismon ki tijarat to hamesha se hui hai
ruhon ke bhi is daur mein bazar bahut hain
masum-e-gunah sirf gunahgar wahin hain
jis shahr mein insaf ke darbar bahut hain
Thahre hue aansu kai jagi hui raaten
'asim' pe tere dard ke aasar bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.