ai zindagi abhi to KHataen karunga main
ai zindagī abhī to ḳhatā.eñ karūñgā maiñ
apne lahū se tar ye fazā.eñ karūñgā maiñ
apne liye aziyyat-o-ālām bhī qubūl
tere liye sukūñ kī du'ā.eñ karūñgā maiñ
maiñ phuul bāñTtā huuñ isī shahr meñ magar
kuchh kaam ho to mujh ko batā.eñ karūñgā maiñ
ḳhvāboñ kī ramz jaan ke kuchh ḳhvāb toḌ kar
ḳhud se ab aur kitnī jafā.eñ karūñgā maiñ
maiñ kāmyāb lauTūñgā is bhīḌ-bhāḌ se
kār-e-jafā ke badle vafā.eñ karūñgā maiñ
ai zindagi abhi to KHataen karunga main
apne lahu se tar ye fazaen karunga main
apne liye aziyyat-o-alam bhi qubul
tere liye sukun ki du'aen karunga main
main phul banTta hun isi shahr mein magar
kuchh kaam ho to mujh ko bataen karunga main
KHwabon ki ramz jaan ke kuchh KHwab toD kar
KHud se ab aur kitni jafaen karunga main
main kaamyab lauTunga is bhiD-bhaD se
kar-e-jafa ke badle wafaen karunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.