ai zindagi bas aur nahin bas sakat nahin
ai zindagī bas aur nahīñ bas sakat nahīñ
is dil ko sang-e-rāh kī sūrat barat nahīñ
ruk jaa.e nabz fikr ke rukte hī kā.enāt
ab tak to merī ḳhaak meñ aisī sifat nahīñ
bhartī kā ek maiñ hī bachā thā nikal gayā
ab terā she'r saaf hai koī bharat nahīñ
kyoñ naqd bechne pe ba-zid ho tum apnī baat
hālāñki ab udhār meñ is kī khapat nahīñ
ab sochne lagā huuñ baḌhā duuñ dukān-e-shauq
filvaqt aise kaam meñ koī bachat nahīñ
nād-e-‘alī ke vird ko tār-e-nafas se joḌ
ab zindagī guzār mirī jaañ bhugat nahīñ
ai zindagi bas aur nahin bas sakat nahin
is dil ko sang-e-rah ki surat barat nahin
ruk jae nabz fikr ke rukte hi kaenat
ab tak to meri KHak mein aisi sifat nahin
bharti ka ek main hi bacha tha nikal gaya
ab tera she'r saf hai koi bharat nahin
kyon naqd bechne pe ba-zid ho tum apni baat
haalanki ab udhaar mein is ki khapat nahin
ab sochne laga hun baDha dun dukan-e-shauq
filwaqt aise kaam mein koi bachat nahin
nad-e-‘ali ke wird ko tar-e-nafas se joD
ab zindagi guzar meri jaan bhugat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.