aib jo mujh mein hain mere hain hunar tera hai
aib jo mujh meñ haiñ mere haiñ hunar terā hai
maiñ musāfir huuñ magar zād-e-safar terā hai
tesha de de mire hāthoñ meñ to sābit kar duuñ
sīna-e-sañg meñ ḳhvābīda-sharar terā hai
tū ye kahtā hai samundar hai qalam-rau meñ mirī
maiñ ye kahtā huuñ ki maujoñ meñ asar terā hai
tū ne raushan kiye har taaq pe furqat ke charāġh
jis meñ tanhā.iyāñ rahtī haiñ vo ghar terā hai
sañg-reze to baraste haiñ mire āñgan meñ
jis kā har phal hai rasīlā vo shajar terā hai
maiñ to huuñ sañg-e-hidāyat kī tarah istāda
haañ magar zābta-e-rāhguzar terā hai
laakh be-māya huuñ itnā bhī tahī-dast nahīñ
merī āñkhoñ ke sadaf meñ ye guhar terā hai
mujh ko tanhā.ī se raġhbat tujhe hañgāmoñ se pyaar
zulmat-e-shab hai mirī nūr-e-sahar terā hai
Dūbte haiñ jo safīne ye ḳhatā kis kī hai
tah-nashīñ mauj mirī hai to bhañvar terā hai
'ramz' har tohmat-e-nā-karda se mansūb sahī
ye magar soch le us meñ bhī zarar terā hai
aib jo mujh mein hain mere hain hunar tera hai
main musafir hun magar zad-e-safar tera hai
tesha de de mere hathon mein to sabit kar dun
sina-e-sang mein KHwabida-sharar tera hai
tu ye kahta hai samundar hai qalam-rau mein meri
main ye kahta hun ki maujon mein asar tera hai
tu ne raushan kiye har taq pe furqat ke charagh
jis mein tanhaiyan rahti hain wo ghar tera hai
sang-reze to baraste hain mere aangan mein
jis ka har phal hai rasila wo shajar tera hai
main to hun sang-e-hidayat ki tarah istada
han magar zabta-e-rahguzar tera hai
lakh be-maya hun itna bhi tahi-dast nahin
meri aankhon ke sadaf mein ye guhar tera hai
mujh ko tanhai se raghbat tujhe hangamon se pyar
zulmat-e-shab hai meri nur-e-sahar tera hai
Dubte hain jo safine ye KHata kis ki hai
tah-nashin mauj meri hai to bhanwar tera hai
'ramz' har tohmat-e-na-karda se mansub sahi
ye magar soch le us mein bhi zarar tera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.