aib-o-hunar se khelne walon ke shahr mein
aib-o-hunar se khelne vāloñ ke shahr meñ
maiñ ghir gayā huuñ tang ḳhayāloñ ke shahr meñ
ham to siyāh-baḳht haiñ lekin ḳhatā muaaf
jo log gum hue haiñ ujāloñ ke shahr meñ
yā-rab ye kyā ki aur bhī begāna ho ga.e
aa kar vo apne chāhne vāloñ ke shahr meñ
vo ik javāb-e-talḳh dil-e-be-qarār ko
uljhā gayā hai kitne savāloñ ke shahr meñ
merā hī zikr kyā hai koī mutma.in nahīñ
is zindagī se khelne vāloñ ke shahr meñ
kyā baat hai har ek yahāñ tīra-zehn hai
baste haiñ kaise log ujāloñ ke shahr meñ
aatā nahīñ hai kūcha-e-dil kā bhī kuchh ḳhayāl
rahtā huuñ mahv kis ke ḳhayāloñ ke shahr meñ
chhā.ī hai murdanī sī ye kyoñ har taraf 'atīq'
jām-e-hayāt bāñTne vāloñ ke shahr meñ
aib-o-hunar se khelne walon ke shahr mein
main ghir gaya hun tang KHayalon ke shahr mein
hum to siyah-baKHt hain lekin KHata muaf
jo log gum hue hain ujalon ke shahr mein
ya-rab ye kya ki aur bhi begana ho gae
aa kar wo apne chahne walon ke shahr mein
wo ek jawab-e-talKH dil-e-be-qarar ko
uljha gaya hai kitne sawalon ke shahr mein
mera hi zikr kya hai koi mutmain nahin
is zindagi se khelne walon ke shahr mein
kya baat hai har ek yahan tira-zehn hai
baste hain kaise log ujalon ke shahr mein
aata nahin hai kucha-e-dil ka bhi kuchh KHayal
rahta hun mahw kis ke KHayalon ke shahr mein
chhai hai murdani si ye kyon har taraf 'atiq'
jam-e-hayat banTne walon ke shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.