ain mumkin hai kisi roz qayamat kar den
ain mumkin hai kisī roz qayāmat kar deñ
kyā ḳhabar ham tujhe dekheñ to baġhāvat kar deñ
mūnis-e-ġham hai hamārā so kahāñ mumkin hai
tujh ko dekheñ to tire hijr ko ruḳhsat kar deñ
pesh-goī kisī anjām kī jab miltī nahīñ
zindagī kaise tujhe vaqf-e-mohabbat kar deñ
us ko ehsās-e-nadāmt hai to phir luuT aa.e
shāyad is baar bhī ham us se ri.āyat kar deñ
sūfī-e-ishq kī masnad mire haath aa jaa.e
mere ahbāb agar mujh ko malāmat kar deñ
mausam-e-hijr bhī hañs detā hai jis vaqt tirī
yaad ke phuul ḳhayāloñ se sharārat kar deñ
āḳhirī baar use is liye dekhā shāyad
us kī āñkheñ mirī uljhan kī vazāhat kar deñ
ain mumkin hai kisi roz qayamat kar den
kya KHabar hum tujhe dekhen to baghawat kar den
munis-e-gham hai hamara so kahan mumkin hai
tujh ko dekhen to tere hijr ko ruKHsat kar den
pesh-goi kisi anjam ki jab milti nahin
zindagi kaise tujhe waqf-e-mohabbat kar den
us ko ehsas-e-nadamt hai to phir luT aae
shayad is bar bhi hum us se riayat kar den
sufi-e-ishq ki masnad mere hath aa jae
mere ahbab agar mujh ko malamat kar den
mausam-e-hijr bhi hans deta hai jis waqt teri
yaad ke phul KHayalon se shararat kar den
aaKHiri bar use is liye dekha shayad
us ki aankhen meri uljhan ki wazahat kar den
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 30.07.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.