ain mumkin hai ye duniya tujhe shahkar lage
ain mumkin hai ye duniyā tujhe shahkār lage
us kī ta.amīr meñ ham jaise gunahgār lage
dekhne meñ to bahut phuul the us Tahnī par
chhū ke dekhā to sabhī phuul hameñ ḳhaar lage
maiñ ne to zaḳhm ḳharīde haiñ na beche haiñ kabhī
phir bhī ye dil ki koī dard kā bāzār lage
ik javāñ ġham kā natīja hai ki aksar mujh ko
raah chaltā huā har shaḳhs azādār lage
nāḳhudā niiñd meñ hai aur samundar bedār
sīna-e-mauj pe kab dekhiye patvār lage
aisī tasvīr banā.ūñgā maiñ dariyā kī 'adīl'
vo jo us paar nazar aatā hai is paar lage
ain mumkin hai ye duniya tujhe shahkar lage
us ki tamir mein hum jaise gunahgar lage
dekhne mein to bahut phul the us Tahni par
chhu ke dekha to sabhi phul hamein KHar lage
main ne to zaKHm KHaride hain na beche hain kabhi
phir bhi ye dil ki koi dard ka bazar lage
ek jawan gham ka natija hai ki aksar mujh ko
rah chalta hua har shaKHs azadar lage
naKHuda nind mein hai aur samundar bedar
sina-e-mauj pe kab dekhiye patwar lage
aisi taswir banaunga main dariya ki 'adil'
wo jo us par nazar aata hai is par lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.