ain-mumkin hai ye zahmat bhi uThani paD jae
'ain-mumkin hai ye zahmat bhī uThānī paḌ jaa.e
bātoñ bātoñ meñ koī baat chhupānī paḌ jaa.e
soch kar aur koī ‘uzr bhī rakkheñ shāyad
rū-barū us ke ye taujīh purānī paḌ jaa.e
dar-ba-dar phirte haiñ is aas pe ham dil-zadagāñ
kisī raste meñ koī shaam suhānī paḌ jaa.e
maslahat oḌhne vāloñ ko ye mā'lūm nahīñ
apne raste kī ye dīvār jo Dhānī paḌ jaa.e
dekhte haiñ jise ā.īna-e-dil meñ aksar
vahī tasvīr jo duniyā ko dikhānī paḌ jaa.e
shahr ke tarz-e-taġhāful se to behtar hai 'munīr'
apne hisse meñ koī naql-e-makānī paḌ jaa.e
'ain-mumkin hai ye zahmat bhi uThani paD jae
baaton baaton mein koi baat chhupani paD jae
soch kar aur koi ‘uzr bhi rakkhen shayad
ru-baru us ke ye taujih purani paD jae
dar-ba-dar phirte hain is aas pe hum dil-zadagan
kisi raste mein koi sham suhani paD jae
maslahat oDhne walon ko ye ma'lum nahin
apne raste ki ye diwar jo Dhani paD jae
dekhte hain jise aaina-e-dil mein aksar
wahi taswir jo duniya ko dikhani paD jae
shahr ke tarz-e-taghaful se to behtar hai 'munir'
apne hisse mein koi naql-e-makani paD jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.