‘ain se ishq mim madhoshi
‘ain se 'ishq miim madhoshī
chhā.ī rahtī hai niim madhoshī
tere chhūne se hosh kho baiThī
ab hai mujh meñ muqīm madhoshī
ye ḳhumārī kisī nazar kī hai
kaise Taale hakīm madhoshī
mujh meñ aisā nayā to kuchh bhī nahīñ
dukh purāne qadīm madhoshī
tere kūche se ho ke aa.ī hai
laa.ī bād-e-nasīm madhoshī
merī tanhā.ī hai mirī ham-rāz
aur merī nadīm madhoshī
apnī ulfat kī baḳhsh 'ambar' ko
mere maulā karīm madhoshī
‘ain se 'ishq mim madhoshi
chhai rahti hai nim madhoshi
tere chhune se hosh kho baiThi
ab hai mujh mein muqim madhoshi
ye KHumari kisi nazar ki hai
kaise Tale hakim madhoshi
mujh mein aisa naya to kuchh bhi nahin
dukh purane qadim madhoshi
tere kuche se ho ke aai hai
lai baad-e-nasim madhoshi
meri tanhai hai meri ham-raaz
aur meri nadim madhoshi
apni ulfat ki baKHsh 'ambar' ko
mere maula karim madhoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.