aisa bhi kya ho sakta hai
aisā bhī kyā ho saktā hai
hañsne vaalā ro saktā hai
rotā huuñ ki daaġh ye dil kā
ashk-e-nadāmat dho saktā hai
jis ne duniyā-dārī chhoḌī
marzī se vo so saktā hai
raazī huuñ qismat par lekin
marzī se kuchh kho saktā hai
bachchoñ jaisā dil hāzir hai
kuchh bhī achchhā bo saktā hai
baḳhiya-gar kyā ḳhvāb kisī par
ik ta.abīr piro saktā hai
zabt se rukne vaalā 'sābir'
aañsū patthar ho saktā hai
aisa bhi kya ho sakta hai
hansne wala ro sakta hai
rota hun ki dagh ye dil ka
ashk-e-nadamat dho sakta hai
jis ne duniya-dari chhoDi
marzi se wo so sakta hai
raazi hun qismat par lekin
marzi se kuchh kho sakta hai
bachchon jaisa dil hazir hai
kuchh bhi achchha bo sakta hai
baKHiya-gar kya KHwab kisi par
ek tabir piro sakta hai
zabt se rukne wala 'sabir'
aansu patthar ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.