aisa gham hai ki jo kar dega mere baal safed
aisā ġham hai ki jo kar degā mire baal safed
aur vahshat bhī kuchh aisī ki hue gaal safed
maiñ ne pathrā.ī huī aañkh se ambar dekhā
aan kī aan huā tāroñ-bharā thaal safed
laash us shaḳhs ne mehnat se banāyā mujh ko
surḳh chādar ko mire sar se haTā Daal safed
aur phir niilā huā saare kā saarā manzar
maiñ ne dekhā thā kisī phuul pe rūmāl safed
ajnabī bantā hai kaise koī apnā pal meñ
kaise hotā hai ghaḌī-bhar meñ lahū laal safed
kaale kavve to bahut jhūTī ḳhabar dete haiñ
to kabūtar koī paiġhām-rasā paal safed
haa.e in phūloñ ne khā lī mire ghar kī raunaq
phuul bheje ga.e tohfe meñ to har saal safed
aisa gham hai ki jo kar dega mere baal safed
aur wahshat bhi kuchh aisi ki hue gal safed
main ne pathrai hui aankh se ambar dekha
aan ki aan hua taron-bhara thaal safed
lash us shaKHs ne mehnat se banaya mujh ko
surKH chadar ko mere sar se haTa Dal safed
aur phir nila hua sare ka sara manzar
main ne dekha tha kisi phul pe rumal safed
ajnabi banta hai kaise koi apna pal mein
kaise hota hai ghaDi-bhar mein lahu lal safed
kale kawwe to bahut jhuTi KHabar dete hain
to kabutar koi paigham-rasa pal safed
hae in phulon ne kha li mere ghar ki raunaq
phul bheje gae tohfe mein to har sal safed
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.