aisa hone nahin deta tha magar hone ko hai
aisā hone nahīñ detā thā magar hone ko hai
zindagī ab to na jiine meñ basar hone ko hai
par jo kaaTe ga.e jā phaile havāoñ meñ tamām
apnī parvāz ba-andāz-e-digar hone ko hai
vahshat-e-dil tujhe le kar maiñ kahāñ jā.ūñ batā
rahte rahte to ye vīrāna bhī ghar hone ko hai
dil se phir khel rahī haiñ vahī ziddī yādeñ
zarra zarra mirā phir zer-o-zabar hone ko hai
sham.a kī lau kī tarah jaan Dhalī jaatī hai aaj
shāyad apnī shab-e-ġham kī bhī sahar hone ko hai
suraḳh-rū ḳhūn-e-jigar se hī huā karte haiñ log
kyā hai 'bilqīs' agar jaañ kā zarar hone ko hai
aisa hone nahin deta tha magar hone ko hai
zindagi ab to na jine mein basar hone ko hai
par jo kaTe gae ja phaile hawaon mein tamam
apni parwaz ba-andaz-e-digar hone ko hai
wahshat-e-dil tujhe le kar main kahan jaun bata
rahte rahte to ye virana bhi ghar hone ko hai
dil se phir khel rahi hain wahi ziddi yaaden
zarra zarra mera phir zer-o-zabar hone ko hai
shama ki lau ki tarah jaan Dhali jati hai aaj
shayad apni shab-e-gham ki bhi sahar hone ko hai
suraKH-ru KHun-e-jigar se hi hua karte hain log
kya hai 'bilqis' agar jaan ka zarar hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.