aisa hua ki phulon ke chehre utar gae
aisā huā ki phūloñ ke chehre utar ga.e
maiñ ne ḳhizāñ kā naam liyā thā ki Dar ga.e
kuchh lamhe mujh ko aap se vābasta kar ga.e
phir is ke baa'd saiñkaḌoñ lamhe guzar ga.e
matlab se log milte haiñ ab aa ke aap se
be-laus dostī ke zamāne guzar ga.e
duniyā ne kyā kiyā ye koī jāntā nahīñ
ilzām saare ahl-e-mohabbat ke sar ga.e
jo ḳhvāb dekhte the sadā āsmānoñ ke
vo apne saath le ke ġham-e-bāl-o-par ga.e
sone ko tez aañch ne kundan banā diyā
merī nazar kī dhuup meñ jalve nikhar ga.e
mujh ko ġham-e-jahāñ ne hirāsāñ agar kiyā
yādoñ ke phuul kamre meñ mere bikhar ga.e
ye bahs thī añdheroñ kā kaise kareñ 'ilāj
itne meñ log apne hī saa.e se Dar ga.e
jo aate jaate dete the mujh ko du'ā-e-ḳhair
'fārūq' vo buzurg na jaane kidhar ga.e
aisa hua ki phulon ke chehre utar gae
main ne KHizan ka nam liya tha ki Dar gae
kuchh lamhe mujh ko aap se wabasta kar gae
phir is ke ba'd sainkaDon lamhe guzar gae
matlab se log milte hain ab aa ke aap se
be-laus dosti ke zamane guzar gae
duniya ne kya kiya ye koi jaanta nahin
ilzam sare ahl-e-mohabbat ke sar gae
jo KHwab dekhte the sada aasmanon ke
wo apne sath le ke gham-e-baal-o-par gae
sone ko tez aanch ne kundan bana diya
meri nazar ki dhup mein jalwe nikhar gae
mujh ko gham-e-jahan ne hirasan agar kiya
yaadon ke phul kamre mein mere bikhar gae
ye bahs thi andheron ka kaise karen 'ilaj
itne mein log apne hi sae se Dar gae
jo aate jate dete the mujh ko du'a-e-KHair
'faruq' wo buzurg na jaane kidhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.