aisa jal-thal tere jaane se tha manzar mera
aisā jal-thal tire jaane se thā manzar merā
jaise ashkoñ se banāyā huā paikar merā
ek zarre pe likhī hai mire sahrā kī kathā
ek hī lahr meñ simTā hai samundar merā
jaane paiġhām ġhanīmoñ se milā thā kaise
DaT gayā mere muqābil meñ hī lashkar merā
maiñ use DhūñDne niklā thā magar ‘ujlat meñ
rah gayā hai kahīñ raste meñ muqaddar merā
rakh diyā hai kisī shīshe kī dukāñ par 'mohsin'
us ne chehra kisī patthar pe banā kar merā
aisa jal-thal tere jaane se tha manzar mera
jaise ashkon se banaya hua paikar mera
ek zarre pe likhi hai mere sahra ki katha
ek hi lahr mein simTa hai samundar mera
jaane paigham ghanimon se mila tha kaise
DaT gaya mere muqabil mein hi lashkar mera
main use DhunDne nikla tha magar ‘ujlat mein
rah gaya hai kahin raste mein muqaddar mera
rakh diya hai kisi shishe ki dukan par 'mohsin'
us ne chehra kisi patthar pe bana kar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.